nahīñ  hai  is  niiñd  ke  nagar  meñ  abhī  kisī  ko  dimāġh  merā
magar  kisī  ḳhvāb  ke  safar  meñ  sipar  kareñge  charāġh  merā
sabāhat-e-sham-o-ā.ina  se  huī  hai  merī  numūd  lekin
sitāra  o  āsmāñ  se  bāhar  kahīñ  milegā  surāġh  merā
taḌap  uThī  hai  kisī  nagar  meñ  qayām  karne  se  ruuh  merī
sulag  rahā  hai  kisī  masāfat  kī  be-kalī  se  dimāġh  merā
jarāhat-e-vasl  ne  khilā.e  haiñ  zulmat-e-shām  meñ  sitāre
matā-e-hijrāñ  kī  chāñdnī  se  bharā  huā  hai  ayāġh  merā
lipaT  rahī  hai  fasīl  kī  burjiyoñ  se  ik  shahr  kī  nigāheñ
aur  ek  dīvār-e-ā.īna  par  jhukā  huā  hai  charāġh  merā
ye  kaisī  sat.h-e-ravāñ  pe  'sājid'  dharī  huī  hai  zamīn  merī
ki  jhūmtā  hai  kisī  sitāre  ke  saañs  lene  se  baaġh  merā