kaḌī  nigāh  rakhegā  vo  sīm-tan  mujh  par
ki  mehrbāñ  hai  kisī  phuul  kā  badan  mujh  par
maiñ  ek  khoī  huī  aag  kī  talāsh  meñ  thā
shaguft  hone  lage  haiñ  magar  chaman  mujh  par
phir  ek  baar  vahī  dhuup  oḌh  kar  niklūñ
karegā  chhāñv  agar  aaj  bhī  gagan  mujh  par
firāq-o-vasl  haqīqat  meñ  ek  hoñ  ki  na  hoñ
kisī  ke  ishq  meñ  lāzim  hai  husn-e-zan  mujh  par
alag  alag  hī  raheñge  dam-e-visāl  bhī  ham
maiñ  apne  man  pe  fidā  huuñ  na  merā  man  mujh  par
kisī  tilism  se  raushan  hai  merā  dil  'sājid'
dayār-e-ġhaib  se  utregā  koī  fan  mujh  par