rukā  huuñ  kis  ke  vahm  meñ  mire  gumān  meñ  nahīñ
charāġh  jal  rahā  hai  aur  koī  makān  meñ  nahīñ
vo  tā.ir-e-nigāh  bhī  safar  meñ  saath  hai  mire
ki  jis  kā  zikr  tak  abhī  kisī  uḌaan  meñ  nahīñ
mirī  talab  mire  liye  malāl  chhoḌ  kar  ga.ī
jo  shai  mujhe  pasand  hai  vahī  dukān  meñ  nahīñ
koī  ajiib  ḳhvāb  thā  agar  maiñ  yaad  kar  sukūñ
koī  ajiib  baat  thī  magar  vo  dhyān  meñ  nahīñ
vo  dushmanī  kī  shaan  se  mile  to  dil  meñ  rah  ga.e
magar  ye  baat  dostī  kī  ān-bān  meñ  nahīñ
maiñ  rizq-e-ḳhvāb  ho  ke  bhī  usī  ḳhayāl  meñ  rahā
vo  kaun  hai  jo  zindagī  ke  imtihān  meñ  nahīñ
vo  ḳhvāb  shām-e-hijr  meñ  sahar  kī  aas  thā  mujhe
magar  vo  tere  vasl  kī  khulī  amaan  meñ  nahīñ