mire  najm-e-ḳhvāb  ke  rū-ba-rū  koī  shai  nahīñ  mire  Dhañg  kī
ye  falak  hai  kisht-e-ġhubār  sā  ye  zamīñ  hai  paanī  ke  rañg  kī
kisī  shaam  mere  jilau  meñ  thā  koī  ḳhvāb  vus.at-e-shahr  kā
kisī  sub.h  mere  vajūd  par  ye  zamīn  logoñ  ne  tañg  kī
mirī  be-kalī  kā  subūt  hai  mirī  sham.a-e-ḳhvāb  ke  sāmne
koī  garm  mauj  gumān  kī  koī  sard  lahr  umañg  kī
mire  āsmāñ  ke  liye  na  thā  koī  phuul  ātish-e-sub.h  kā
so  mire  lahū  ke  charāġh  ne  ka.ī  sard  rātoñ  se  jañg  kī
mire  ḳhāk-dāñ  kī  sipar  to  hai  kisī  mauj-e-tez  se  aa.ina
mire  ḳhvāb-e-satez  kī  teġh  par  vahī  tā  damaktī  hai  zañg  kī