apne  apne  lahū  kī  udāsī  liye  saarī  galiyoñ  se  bachche  palaT  ā.eñge
dhuup  kī  garm  chādar  simaTte  hī  phir  ye  sunahrī  parinde  palaT  ā.eñge
shaam  aa.ī  hai  aur  sā.atoñ  ke  qadam  pāniyoñ  kī  ravānī  meñ  rukne  lage
kaun  kahtā  hai  in  bādaloñ  se  pare  āsmāñ  par  sitāre  palaT  ā.eñge
ye  darīche  isī  tarah  raushan  raheñ  aur  gulāboñ  kī  ḳhushbū  salāmat  rahe
phir  isī  chhāñv  meñ  saañs  lene  ko  ham  apne  apne  gharoñ  se  palaT  ā.eñge
ham  musāfir  haiñ  gard-e-safar  haiñ  magar  ai  shab-e-hijr  ham  koī  bachche  nahīñ
jo  abhī  āñ.suoñ  meñ  nahā  kar  ga.e  aur  abhī  muskurāte  palaT  ā.eñge
phir  unhī  zard  peḌoñ  ke  nañge  badan  sho.ala-e-naḳhl  se  raakh  hone  lage
maiñ  to  samjhā  thā  mausam  badalte  hī  phir  Dāliyoñ  par  vo  patte  palaT  ā.eñge
ye  safīne  jo  ik  lahr  ke  vāste  apne  apne  bahāv  meñ  bahne  lage
ik  adhūrī  masāfat  kī  tasvīr  meñ  phir  koī  rañg  bharne  palaT  ā.eñge
ek  din  yaad  ā.ūñgā  'sājid'  use  umr  kī  be-karānī  meñ  maiñ  bhī  kahīñ
shaam  aa.egī  aur  mere  āñgan  meñ  bhī  in  daraḳhtoñ  ke  saa.e  palaT  ā.eñge