ek  ghar  apne  liye  tayyār  karnā  hai  mujhe
aur  ik  bastī  ko  bhī  mismār  karnā  hai  mujhe
is  andhere  meñ  chhupānā  hai  koī  dushman  magar
is  ujāle  meñ  kisī  par  vaar  karnā  hai  mujhe
ek  naddī  ke  kināre  par  Thaharne  ke  liye
shaam  hone  tak  ye  dariyā  paar  karnā  hai  mujhe
DhūñD  laayā  huuñ  ḳhushī  kī  chhāñv  jis  ke  vāste
ek  ġham  se  bhī  use  do-chār  karnā  hai  mujhe
bhāñdhnī  hai  āḳhirī  ik  chaal  se  saarī  bisāt
aur  us  kā  daav  bhī  be-kār  karnā  hai  mujhe
kis  samundar  meñ  utarnā  hai  paḌāv  ke  liye
kis  nagar  ko  ab  gale  kā  haar  karnā  hai  mujhe
ek  ḳhvāhish  hai  jo  shāyad  umr  bhar  puurī  na  ho
ek  sapne  se  hamesha  pyaar  karnā  hai  mujhe
ek  jhoñke  ko  ravāñ  rakhnā  hai  sehn-e-bāġh  meñ
ek  gul  ko  shāmil-e-guftār  karnā  hai  mujhe
ek  an-jānī  sadā  kī  khoj  meñ  chalte  hue
ek  mub.ham  rabt  ko  dīvār  karnā  hai  mujhe