samajhte  haiñ  jo  apne  baap  kī  jāgīr  miTTī  ko
banā.ūñgā  maiñ  un  ke  paañv  kī  zanjīr  miTTī  ko
havā  sat.h-e-zamīñ  par  ab  ḳhat-e-gulzār  khīñchegī
ki  ḳhush  aatī  nahīñ  hai  abr  kī  tahrīr  miTTī  ko
siyah  paḌ  jā.egī  zarroñ  kī  rañgat  ek  hī  pal  meñ
agar  qismat  se  mil  jaa.e  mirī  taqdīr  miTTī  ko
jalālī  aa.ina  ik  āsmāñ  par  mehr-e-tābāñ  hai
banāyā  hai  zamīñ  par  sabr  kī  tasvīr  miTTī  ko
bajā.e  ḳhaak  uḌte  haiñ  sitāre  merī  āñkhoñ  meñ
ki  ho  jaatī  hai  aise  kaam  meñ  tāḳhīr  miTTī  ko
use  mismār  karne  meñ  koī  mushkil  nahīñ  hogī
pasand  aa.ī  hai  shahr-e-ḳhvāb  kī  ta.amīr  miTTī  ko
bahut  rauñdā  gayā  hai  ḳhaak  ko  aur  ḳhāk-zādoñ  ko
atā  kī  jā.egī  ab  ġhaib  se  tauqīr  miTTī  ko
kamāl  apnā  dikhā.egā  tilismī  aa.ina  'sājid'
ki  ab  darkār  hai  ik  ḳhvāb  kī  ta.abīr  miTTī  ko