Thaharne  ko  hai  bastī  ke  dar-o-dīvār  par  paanī
ki  ab  patthar  meñ  Dhaltī  jā  rahī  hai  mauj-e-hairānī
ḳhayāl  aatā  hai  shahr-e-ārzū  ko  chhoḌ  dene  kā
bahut  dushvār  ho  jaatī  hai  jab  bhī  koī  āsānī
yaqīñ  aayā  ki  arzāñ  hai  matā-e-lutf  duniyā  meñ
natīja  hai  adū  kī  qadr  karne  kā  pashemānī
musalsal  baḌh  rahā  huuñ  jāda-e-islām  par  ab  tak
magar  ḳhush  aa.egā  kis  ko  mirā  turr-e-musalmānī
vahī  sūrat  vahī  atvār-e-nek-o-bad  vahī  lahja
vo  pal-bhar  meñ  kahīñ  se  DhūñD  laayā  hai  mirā  saanī
mire  sheroñ  meñ  bahtā  hai  samundar  mere  virse  kā
ki  maiñ  gulshan-tarāz-e-rañg-e-sohbāñ  huuñ  na  ḳhāqānī
judā.ī  kī  kasak  miT  jā.egī  'sājid'  mire  dil  se
agar  pahchān  le  baḌh  kar  mujhe  vo  dilbar-e-jānī