charāġh-e-ḳhāna-e-dil  ko  supurd-e-bād  kar  duuñ
ye  qaidī  bhī  kisī  ke  naam  par  āzād  kar  duuñ
bahut  ham  se  gurezāñ  ye  zamīn  o  āsmāñ  haiñ
ijāzat  ho  to  ik  duniyā  na.ī  ābād  kar  duuñ
jidhar  niklūñ  savād-e-hijr  hī  kā  sāmnā  hai
koī  sūrat  yahāñ  bhī  vasl  kī  ījād  kar  duuñ
mire  māyūs  rahne  par  agar  vo  shādmāñ  hai
to  kyuuñ  ḳhud  ko  maiñ  us  ke  vāste  barbād  kar  duuñ
bahut  chehre  nigāhoñ  meñ  ubharte  Dūbte  haiñ
agar  kuchh  der  ko  raushan  charāġh-e-yād  kar  duuñ
bahut  din  se  musir  is  baat  par  vo  mehrbāñ  hai
ki  maiñ  dil  ko  rahīn-e-sohbat-e-nā-shād  kar  duuñ