shaguft-e-āb  se  miTTī  ko  aa.ina  karte
charāġh  sard  na  hote  to  zamzama  karte
bahut  se  rañg  bhī  rakhte  haiñ  tāqat-e-parvāz
havā  meñ  sirf  parinde  nahīñ  uḌā  karte
asar  na  lījiye  is  garm-o-sard  kā  dil  par
ki  shor-o-shar  se  pareshāñ  nahīñ  huā  karte
bañdhe  hue  the  mire  haath  bhī  tumhārī  tarah
vafā  sarisht  meñ  hotī  to  ham  vafā  karte
zamīn  oḌh  ke  so.e  haiñ  sāhibān-e-ishq
ab  us  galī  ke  darīche  nahīñ  khulā  karte
ajiib  pyaas  thī  us  dil-rubā  kī  āñkhoñ  meñ
ham  un  ko  chuum  na  lete  to  aur  kyā  karte
bahut  kushāda  thī  ye  arz-e-pāk  un  par  bhī
agar  vo  ghar  se  nikalne  kā  hausla  karte
jagah  na  dete  kisī  ḳhauf  ko  kabhī  dil  meñ
kisī  se  ishq  jo  karte  to  barmalā  karte
agar  ḳharāb  hue  mehr-o-māh  ke  hāthoñ
kisī  charāġh  ke  haq  meñ  to  kuchh  duā  karte
ḳhayāl  un  ko  na  hotā  agar  mohabbat  kā
kabhī  vo  niiñd  meñ  chalte  na  rat-jagā  karte
badal  diyā  hai  zamāne  ne  us  ko  bhī  'sājid'
phir  ek  baar  kabhī  us  se  rābta  karte