ik  sham.a  kī  sūrat  meñ  manzūr  kiyā  jā.ūñ
ik  ghar  kī  hifāzat  par  māmūr  kiyā  jā.ūñ
apne  se  bichhaḌne  kī  kuchh  fikr  nahīñ  lekin
aisā  na  ho  us  se  bhī  ab  duur  kiyā  jā.ūñ
ik  yaad  se  mas  ho  kar  zanjīr  pighal  jaa.e
ik  gul  kī  mohabbat  se  maḳhmūr  kiyā  jā.ūñ
aisā  na  ho  duniyā  kī  vus.at  se  nikalte  hī
apne  meñ  simaTne  par  majbūr  kiyā  jā.ūñ
ai  raat  agar  maiñ  bhī  ik  terā  sitāra  huuñ
sūraj  ke  nikalte  hī  be-nūr  kiyā  jā.ūñ
aisā  ho  ki  ik  lamha  merī  bhī  gavāhī  de
aisā  ho  ki  ik  dil  kā  dastūr  kiyā  jā.ūñ