Ghulam Husain Sajid

jahan bhar mein mere dil sa koi ghar ho nahin sakta

Ghulam Husain Sajid

1951
jahāñ bhar meñ mire dil sā koī ghar ho nahīñ saktā
ki aisī ḳhaak par aisā samundar ho nahīñ saktā
ravāñ rahtā hai kaise chain se apne kināroñ meñ
ye dariyā merī betābī kā maz.har ho nahīñ saktā
kisī kī yaad se dil kā añdherā aur baḌhtā hai
ye ghar mere sulagne se munavvar ho nahīñ saktā
bahut be-tāb hotā huuñ maiñ us ko dekh kar lekin
sitāra terī āñkhoñ se to baḌh kar ho nahīñ saktā
ye mauj-e-umr har shai ko bahut tabdīl kartī hai
magar jo saañs letā hai vo patthar ho nahīñ saktā
maiñ us duniyā meñ rahtā huuñ ki jis duniyā ke logoñ ko
ḳhushī kā ek lamha bhī mayassar ho nahīñ saktā
Top Urdushayar.com