jahāñ  bhar  meñ  mire  dil  sā  koī  ghar  ho  nahīñ  saktā
ki  aisī  ḳhaak  par  aisā  samundar  ho  nahīñ  saktā
ravāñ  rahtā  hai  kaise  chain  se  apne  kināroñ  meñ
ye  dariyā  merī  betābī  kā  maz.har  ho  nahīñ  saktā
kisī  kī  yaad  se  dil  kā  añdherā  aur  baḌhtā  hai
ye  ghar  mere  sulagne  se  munavvar  ho  nahīñ  saktā
bahut  be-tāb  hotā  huuñ  maiñ  us  ko  dekh  kar  lekin
sitāra  terī  āñkhoñ  se  to  baḌh  kar  ho  nahīñ  saktā
ye  mauj-e-umr  har  shai  ko  bahut  tabdīl  kartī  hai
magar  jo  saañs  letā  hai  vo  patthar  ho  nahīñ  saktā
maiñ  us  duniyā  meñ  rahtā  huuñ  ki  jis  duniyā  ke  logoñ  ko
ḳhushī  kā  ek  lamha  bhī  mayassar  ho  nahīñ  saktā