savād-e-shahr  se  aġhmāz  karnā  chāhtā  huuñ
ki  maiñ  apnā  safar  āġhāz  karnā  chāhtā  huuñ
ḳhajil  hūñgā  matā-e-ishq  par  shāyad  kisī  din
abhī  is  faisle  par  naaz  karnā  chāhtā  huuñ
rag-e-jāñ  se  bhī  jo  nazdīk  aatā  jā  rahā  hai
maiñ  kyā  sach-much  use  hamrāz  karnā  chāhtā  huuñ
ulaTnā  chāhtā  huuñ  aaj  maazī  ke  varaq  maiñ
ki  fardā  kā  darīcha  baaz  karnā  chāhtā  huuñ
kisī  ke  sāmne  rakkhe  hue  ik  aa.ine  ko
maiñ  apnī  ruuh  kā  ġhammāz  karnā  chāhtā  huuñ
parindoñ  ko  zarā  sī  der  chup  rahne  kā  kah  kar
havā  ko  zamzama-pardāz  karnā  chāhtā  huuñ
manānā  chāhtā  huuñ  rūThne  vāloñ  ko  'sājid'
magar  ik  shaḳhs  ko  nārāz  karnā  chāhtā  huuñ