charāġh  baaqī  rahā  na  ab  aa.ina  rahegā
magar  shaguft-e-jamāl  kā  silsila  rahegā
hazār  chaukas  rahīñ  kaḌī  tīrgī  ke  daa.ī
mire  tasavvur  meñ  ek  rauzan  khulā  rahegā
yaqīn  aayā  hai  aaj  alvāh-e-sa.ang  paḌh  kar
ki  is  nagar  meñ  bas  ek  nām-e-ḳhudā  rahegā
yahī  rahegā  agar  mirī  be-kasī  kā  aalam
duā.eñ  bach  pā.eñgī  na  dast-e-duā  rahegā
siyāh  paḌne  lagegī  sham-e-visāl  kī  zau
khilā  huā  rāt-bhar  jo  rañg-e-hinā  rahegā
mirī  tarah  niiñd  aa  nahīñ  pā.egī  use  bhī
maiñ  jāntā  huuñ  vo  sub.h  tak  jāgtā  rahegā
kahāñ  miTāne  se  miT  sakegā  vo  naqsh  dil  se
ġhubār  sā  aa.ine  pe  ik  aks  kā  rahegā
ḳhayāl  rahtā  hai  niiñd  meñ  ab  usī  parī  kā
jo  phuul  ab  shāḳh  par  khilegā  khilā  rahegā
safar  ho  pātāl  kā  ki  sair-e-falak  ho  'sājid'
jahāñ  rahūñgā  zamīn  se  rābta  rahegā