zamīñ  kā  rañg  vahī  āsmāñ  kā  rañg  vahī
vahī  sabāhat-e-gul  hai  binā-e-sañg  vahī
jo  ḳhvāb  ban  nahīñ  paayā  thā  merī  āñkhoñ  kā
Thahar  gayā  hai  mire  aa.ine  pe  zañg  vahī
badan  meñ  aag  lagāte  hue  duā  ke  haath
lahū  meñ  phuul  khilātī  huī  umañg  vahī
badalne  vaalā  hī  ḳhud  ko  badal  nahīñ  paayā
vahī  bahāne  haiñ  us  ke  haiñ  uzr-e-lañg  vahī
hazār  sulh  kā  parcham  buland  kar  dekho
magar  zamīñ  pe  musallat  rahegī  jañg  vahī
purānī  vaz.a  se  aayā  huuñ  tere  kūche  meñ
badan  maiñ  zor  vahī  ruuh  meñ  tarañg  vahī
kuchh  aise  Dhañg  se  tabdīl  ho  rahā  hai  vo
ki  rah  na  jaa.e  kisī  marhale  pe  dañg  vahī
vahī  nagar  vahī  galiyāñ  vahī  makīñ  'sājid'
paḌī  hai  paañv  meñ  zanjīr-e-nām-o-nañg  vahī