kisī  ko  zahr  dūñgā  aur  kisī  ko  jaam  dūñgā
maiñ  apne  jāñ-nisāroñ  ko  yahī  in.aam  dūñgā
añdhere  meñ  damak  uThte  haiñ  jitne  bhī  sitāre
agar  fursat  milī  to  maiñ  unheñ  kuchh  naam  dūñgā
kisī  tārīk  miTTī  par  mujhe  bhī  saath  rakhnā
ki  maiñ  tujh  ko  kisī  mushkil  ghaḌī  meñ  kaam  dūñgā
thakā-hārā  huuñ  tanhā  huuñ  magar  ye  baat  tai  hai
maiñ  tohfe  meñ  tujhe  ik  roz  mulk-e-shām  dūñgā
dukān-e-aslaha  se  maiñ  ne  jo  shamshīr  lī  hai
maiñ  us  ke  daam  pūchhūñgā  na  us  ke....  daam  dūñgā
mujhe  har  roz  kahtā  hai  ye  baat  ab  merā  beTā
tujhe  maiñ  is  buḌhāpe  meñ  bahut  ārām  dūñgā