maiñ  us  parī  kā  agar  mudda.ā  nahīñ  samjhā
samajh  meñ  kyā  nahīñ  aayā  maiñ  kyā  nahīñ  samjhā
yahī  bahut  hai  ki  is  baar  bhī  maiñ  dushman  ko
burā  samajhte  hue  bhī  burā  nahīñ  samjhā
vo  māntā  hai  mire  iḳhtilāf  ke  haq  ko
use  biThāyā  hai  sar  par  ḳhudā  nahīñ  samjhā
charāġh-o-ā.ina  hairān  kyuuñ  nahīñ  hoñge
ki  maiñ  sabāhat-e-gul  kī  adā  nahīñ  samjhā
kisī  bikharte  hue  ḳhvāb  ke  ta.āqub  meñ
nikal  paḌā  huuñ  magar  rāsta  nahīñ  samjhā
bahut  se  rañj  sahe  apnī  jaan  par  lekin
tire  vajūd  ko  ḳhud  se  judā  nahīñ  samjhā
hazār  maiñ  ne  har  ik  chiiz  kī  vazāhat  kī
magar  vo  shaḳhs  mirā  mas.ala  nahīñ  samjhā
usī  ne  aag  lagā.ī  thī  mere  hāthoñ  ko
jise  maiñ  bhuul  se  barg-e-hinā  nahīñ  samjhā
kisī  kī  uḌtī  huī  niiñd  kī  haqīqat  ko
nagar  meñ  koī  bhī  mere  sivā  nahīñ  samjhā
khaḌā  huā  thā  kahīñ  bām-e-arsh  par  'sājid'
magar  zamīn  ko  tahtus-surā  nahīñ  samjhā