nahīñ  ab  rok  pā.egī  fasīl-e-shahr  paanī  ko
bahā.e  jā  rahī  hai  raushnī  kī  lahr  paanī  ko
mujhe  bhī  surḳh  kartī  hai  ye  mash.al  merī  āñkhoñ  kī
ki  jaise  sabz  kartā  hai  ziyā  kā  zahr  paanī  ko
kisī  be-nām  sayyāre  pe  ab  bhī  abr  chhāyā  hai
tarastā  hai  ka.ī  din  se  agarche  dahr  paanī  ko
bahut  itrā  rahī  hai  mauj-e-sahrā  apne  hone  par
ravāñ  rakhtī  ho  jaise  aaj  bhī  ye  nahr  paanī  ko
nikalnā  chāhtā  hai  qaid  se  jaise  mashiyyat  kī
pasand  aayā  nahīñ  hai  āsmānī  qahr  paanī  ko
use  vo  raakh  karne  ke  liye  tayyār  hai  'sājid'
muqayyad  hī  na  rakkhegā  faqat  ye  shahr  paanī  ko