masāfat-e-umr  meñ  ziyāñ  kā  hisāb  hotā  hai  justujū  se
magar  maiñ  duniyā  ko  dekhtā  huuñ  charāġh  aur  aa.ine  kī  rū  se
maiñ  us  gul-ḳhvāb  kī  ma.ayyat  meñ  saañs  lete  bhī  Dar  rahā  huuñ
ki  shāḳh  baḌhne  se  beshtar  hī  na  qat.a  ho  ḳhvāhish-e-numū  se
nashāt-e-iz.hār  par  agarche  ravā  nahīñ  e'tibār  karnā
magar  ye  sach  hai  ki  aadmī  kā  surāġh  miltā  hai  guftugū  se
maiñ  ek  muddat  se  is  jahāñ  kā  asiir  huuñ  aur  sochtā  huuñ
ye  ḳhvāb  TūTegā  kis  qadam  par  ye  rañg  chhūTegā  kab  lahū  se
ye  mish.al-e-ḳhvāb  bhī  na  'sājid'  kisī  sitāre  kī  pesh-rau  ho
ki  mere  siine  meñ  ek  ġham  ne  numūd  paa.ī  hai  aarzū  se