ridā-e-rāhat-e-kaun-o-makān  oḌh  ke  dekh
zamīn  oḌh  ke  dekh  āsmān  oḌh  ke  dekh
tilism  TuuT  chukā  jab  charāġh-e-zulmat  kā
kabhī  sabāhat-e-nām-o-nishān  oḌh  ke  dekh
paḌā  rahegā  kahāñ  tak  tū  apne  tarkash  meñ
ḳhadañg-e-jasta  agar  hai  kamān  oḌh  ke  dekh
qarīb  aa  hī  gayā  hai  agar  vo  abr-e-karam
safar  meñ  aaj  yahī  sā.ebān  oḌh  ke  dekh
havā-e-shahr  haqīqat  meñ  saañs  lete  hue
nigār-ḳhāna-e-vahm-o-gumān  oḌh  ke  dekh
phir  ek  baar  kisī  jañg  par  nikalte  hue
fazā-e-qarya-e-amn-o-amān  oḌh  ke  dekh
nayā  libās  pahanñe  kā  vaqt  hai  'sājid'
shikoh  oḌh  ke  dekh  ān-bān  oḌh  ke  dekh