diye  jalā.e  ga.e  aa.ine  banā.e  ga.e
koī  batā.e  yahāñ  kaun  log  aa.e  ga.e
matā-e-dirham-o-dīnār  par  nahīñ  mauqūf
maiñ  so  gayā  to  mire  ḳhvāb  tak  churā.e  ga.e
bahut  se  log  satā.e  ga.e  haiñ  duniyā  meñ
magar  vo  mujh  se  ziyāda  nahīñ  satā.e  ga.e
charāġh  sard  hue  dhuup  kī  tamāzat  se
daraḳht  niiñd  ke  aalam  meñ  thartharā.e  ga.e
panāh  mil  na  sakegī  kisī  ko  ghar  meñ  bhī
tuyūr  sub.h  se  pahle  agar  uḌaa.e  ga.e
sahar  ke  vaqt  huā  faisla  nikalne  kā
qadam  baḌhāne  se  pahle  diye  baḌhā.e  ga.e
kisī  ke  aam  se  chehre  ko  bhūlne  ke  liye
hazār  rañg  ke  sapne  mujhe  dikhā.e  ga.e
phir  ek  baar  usī  Dhañg  se  bahār  aa.ī
saroñ  kī  fasl  kaTī  phuul  bhī  ugaa.e  ga.e
zamīn  paañv  pakaḌtī  hai  us  ilāqe  kī
kahīñ  jo  kho.e  ga.e  us  galī  meñ  paa.e  ga.e
mujhe  thī  jin  kī  ġhulāmī  kī  aarzū  'sājid'
asiir  kar  ke  mire  sāmne  vo  laa.e  ga.e