Ghulam Husain Sajid

agar ye rangini-e-jahan ka wajud hai aks-e-asman se

Ghulam Husain Sajid

1951
agar ye rañgīnī-e-jahāñ kā vajūd hai aks-e-āsmāñ se
to phir ruḳh-e-sham-o-ā.ina par khilā hai ye rañg-e-ḳhūñ kahāñ se
ruke raheñge fasīl-e-zulmat ke dā.ere par sabhī musāfir
magar kisī ḳhvāb ke jilau meñ charāġh niklegā kārvāñ se
rukī huī hai jo ek mauj-e-sarāb kī sat.h par ye duniyā
to maiñ bhī us ḳhvāb ke nagar kā subūt lā.ūñgā dāstāñ se
ye aa.ina jam.a kar rahā hai na.e jahāzoñ ke aks lekin
ye āb-jū qat.a kar rahī hai kisī sitāre ko darmiyāñ se
ye sach hai mil baiThne kī had tak to kaam aa.ī hai ḳhush-gumānī
magar diloñ meñ ye dostī kī numūd hai rāhat-e-bayāñ se
musāfir-e-ḳhvāb ke liye haiñ ye merī āñkhoñ ke phuul 'sājid'
aur ik sitāre ke dekhne ko ye aag utrī hai sham.a-dāñ se
Top Urdushayar.com