mirī  virāsat  meñ  jo  bhī  kuchh  hai  vo  sab  isī  dahr  ke  liye  hai
ye  rañg  ik  ḳhvāb  ke  liye  hai  ye  aag  ik  shahr  ke  liye  hai
agar  isī  raat  kī  siyāhī  ke  saath  kho  jā.eñge  sitāre
to  phir  ye  mere  lahū  kā  raushan  charāġh  kis  lahr  ke  liye  hai
tulū-e-imkān-e-ārzū  par  yaqīn  rakhtī  hai  ek  duniyā
magar  ye  be-kār  ḳhvāhishoñ  kī  numūd  ik  zahr  ke  liye  hai
kanār-e-dariyā  hai  ek  maddham  ġhubār  kis  dasht  kā  paḌāv
darūn-e-sahrā  ye  āb-e-haivāñ  kā  naqsh  kis  nahr  ke  liye  hai
ye  ḳhvāb  hote  hue  sahīfoñ  ke  phuul  mere  liye  haiñ  lekin
zamīn-e-dil  par  ye  āyatoñ  kā  nuzūl  ik  dahr  ke  liye  hai
bas  ek  insān  kī  ḳhushī  hai  kisī  haqīqat  kī  rū-numā.ī
magar  kisī  ḳhvāb  ke  ziyāñ  kā  malāl  ik  shahr  ke  liye  hai
agar  hai  insān  kā  muqaddar  ḳhud  apnī  miTTī  kā  rizq  honā
to  phir  zamīñ  par  ye  āsmāñ  kā  vajūd  kis  qahr  ke  liye  hai