dast-e-rāhat  ne  kabhī  rañj-e-girāñ-bārī  ne
kar  diyā  ḳhatm  mujhe  ishq  kī  bīmārī  ne
raas  aa.ī  hai  na  aa.egī  ye  duniyā  lekin
rok  rakkhā  hai  mujhe  kuuch  kī  tayyārī  ne
harf  us  paikar-e-gul  par  na  thā  aane  vaalā
us  ko  sharminda  kiyā  rasm-e-dil-āzārī  ne
yūñhī  ḳhushbū  se  mo.attar  nahīñ  sāñseñ  merī
zulf  lahrā.ī  hai  āñgan  meñ  kisī  pyārī  ne
haath  kyā  aa.egā  ab  jañg  ko  jaarī  rakh  kar
faisla  kar  bhī  diyā  shah  kī  giraftārī  ne
qarya-e-ḳhāk  se  nisbat  kī  thī  ḳhvāhish  kis  ko
mujh  ko  zanjīr  kiyā  us  kī  taraf-dārī  ne
ḳhush  nahīñ  aayā  mujhe  bāġh-e-adan  bhī  'sājid'
maar  Daalā  hai  mujhe  phir  mirī  hushyārī  ne