charāġh  kī  oT  meñ  hai  mehrāb  par  sitāra
rukā  huā  hai  abhī  gul-e-ḳhvāb  par  sitāra
ye  kis  ravānī  meñ  Dūbtī  jā  rahī  haiñ  āñkheñ
chamak  rahā  hai  ye  kyuuñ  ruḳh-e-āb  par  sitāra
rukī  huī  hai  zamīn  paanī  ke  mintaqe  par
Thahar  gayā  hai  nigāh-e-betāb  par  sitāra
kahīñ  mirī  dhuup  kī  hukūmat  hai  aa.ine  par
jhukā  huā  hai  kahīñ  zar-e-āb  par  sitāra
muhīt  meñ  ghūmte  raheñge  agar  safīne
siyāh  paḌne  lagegā  girdāb  par  sitāra
sunā  thā  is  raat  ke  muqābil  bhī  ā.īna  hai
magar  dikhā.ī  diyā  hai  mahtāb  par  sitāra
maiñ  huuñ  kisī  raat  kī  siyāhī  kā  rizq  lekin
talāsh  kartā  huuñ  rū-e-ahbāb  par  sitāra