hamāre  saath  ḳhudā  ho  ki  ham  ḳhudā  ke  saath
magar  rahe  yahī  vābastagī  duā  ke  saath
kashīd  karte  hue  rāhat-e-vajūd-o-adam
diye  ke  saath  rahūñgā  na  maiñ  havā  ke  saath
na.e  gulāb  kareñge  mukālima  kis  se
nikal  paḌūñgā  chaman  se  agar  sabā  ke  saath
chhalak  na  jaa.e  kahīñ  sāġhar-e-matā-e-hosh
rahūñgā  aaj  kisī  dard-āshnā  ke  saath
fishār-e-zabt  se  rukne  lagī  hai  saañs  mirī
muqābla  hai  kisī  sabr-āzmā  ke  saath
pasand  haiñ  mujhe  multān  ke  dar-o-dīvār
nigār-ḳhāna-e-istaḳhar-o-nainvā  ke  saath
usī  charāġh  se  nisbat  rakhūñ  abhī  'sājid'
ki  dil  lagā.ūñ  kisī  aur  dil-rubā  ke  saath