hāsil  kisī  se  naqd-e-himāyat  na  kar  sakā
maiñ  apnī  saltanat  pe  hukūmat  na  kar  sakā
har  rañg  meñ  raqīb-e-zar-e-nām-o-nañg  huuñ
maiñ  vo  huuñ  jo  kisī  se  mohabbat  na  kar  sakā
ghultā  rahā  hai  merī  ragoñ  meñ  bhī  koī  zahr
lekin  maiñ  is  dayār  se  hijrat  na  kar  sakā
paḌtā  nahīñ  kisī  ke  bichhaḌne  se  koī  farq
maiñ  us  ko  sach  batāne  kī  zahmat  na  kar  sakā
aayā  jo  us  kā  zikr  to  maiñ  guñg  rah  gayā
aur  aa.ine  se  us  kī  shikāyat  na  kar  sakā
baaqī  rakhī  hai  mere  lahū  ne  matā-e-hosh
maiñ  ne  vafā  to  kī  thī  nihāyat  na  kar  sakā
ab  bhī  shagufta  nuur  se  hai  us  ko  rabt-e-ḳhās
vo  jo  mire  charāġh  kī  izzat  na  kar  sakā
har-chand  us  gulāb  pe  tashbīb  khul  ga.ī
is  par  bhī  maiñ  gurez  kī  himmat  na  kar  sakā
'sājid'  qafas  kī  tīliyoñ  ko  toḌ  kar  bhī  maiñ
is  dasht-e-be-kanār  meñ  vahshat  na  kar  sakā