ufuq  se  aag  utar  aa.ī  hai  mire  ghar  bhī
shikast  hote  haiñ  kyā  shahar  apne  andar  bhī
ye  āb-o-tāb  isī  marhale  pe  ḳhatm  nahīñ
koī  charāġh  hai  is  aa.ine  se  bāhar  bhī
ḳhamīr  jis  ne  uThāyā  hai  ḳhaak  se  merā
usī  ne  ḳhvāb  se  khīñchā  hai  merā  jauhar  bhī
maiñ  DhūñD  lūñgā  koī  rāsta  palaTne  kā
jo  band  hogā  kabhī  mujh  pe  aap  kā  dar  bhī
kisī  ke  aks-e-munavvar  kī  chhūT  se  hai  dañg
to  mere  dam  se  hai  ye  ā.īna  mukaddar  bhī
ye  saill-e-shab  hī  nahīñ  mere  vāste  jaarī
ravāñ  hai  mere  liye  sub.h  kā  samundar  bhī
dahakne  vaale  faqat  phuul  hī  na  the  'sājid'
khile  hue  the  inhī  kyāriyoñ  meñ  aḳhgar  bhī