dayār-e-ḳhvāb  ko  niklūñgā  sar  uThā  kar  maiñ
ki  shaad  rahtā  huuñ  ranj-e-safar  uThā  kar  maiñ
charāġh  jal  na  sakegā  jo  us  kī  āñkhoñ  meñ
dharūñgā  us  ko  kisī  taaq  par  uThā  kar  maiñ
sunā  hai  taḳht  muqaddar  se  haath  aatā  hai
ḳhajil  huuñ  rāhat-e-teġh-o-sipar  uThā  kar  maiñ
chale  jo  sarv-o-saman  meñ  bhī  saath  chal  dūñgā
khaḌā  rahūñgā  na  bār-e-samar  uThā  kar  maiñ
tire  bahisht  meñ  dil  lag  nahīñ  rahā  merā
ki  saath  lā  nahīñ  paayā  huuñ  ghar  uThā  kar  maiñ
ulajh  rahā  ho  agar  ġhair  kī  nigāhoñ  se
lapeT  letā  huuñ  tār-e-nazar  uThā  kar  maiñ
alag  nahīñ  huuñ  maiñ  apnī  tarah  ke  logoñ  se
paḌā  huuñ  zahmat-e-dīvār-o-dar  uThā  kar  maiñ
nahīñ  sunūñgā  nasīhat  kisī  siyāne  kī
rahūñgā  tohmat-e-nau-e-bashar  uThā  kar  maiñ
yaqīn  kaise  nahīñ  aa.egā  unheñ  mujh  par
vafā  meñ  fard  huuñ  ḳhauf-o-ḳhatar  uThā  kar  maiñ
kahīñ  visāl  kī  sūrat  agar  dikhā.ī  dī
nikal  paḌūñgā  na  sham-e-sahar  uThā  kar  maiñ
kisī  parī  ke  tasavvur  meñ  chuum  letā  huuñ
kisī  gulāb  ko  bār-e-digar  uThā  kar  maiñ
bahut  haiñ  chāhne  vaale  mire  jahāñ-bhar  meñ
girafta  dil  nahīñ  bār-e-hunar  uThā  kar  maiñ
makān  chhoḌ  to  duuñ  us  hasīñ  ke  kahne  par
galī  meñ  lā.ūñgā  kyā  kyā  magar  uThā  kar  maiñ
mujhe  vo  taish  dilāte  rahe  agar  'sājid'
to  gūñdh  dūñgā  ye  saarā  nagar  uThā  kar  maiñ