lahū  kī  aag  agar  jaltī  rahegī
hamārī  daal  bhī  galtī  rahegī
bharosā  hai  agar  duniyā  ko  ham  par
hamāre  rañg  meñ  Dhaltī  rahegī
mohabbat  hai  agar  sachchī  hamārī
matā-e-ḳhvāb  par  paltī  rahegī
chaman  ab  der  tak  raqsāñ  rahegā
havā  ab  der  tak  chaltī  rahegī
kahāñ  aa.egī  apne  vaqt  par  maut
vo  agle  roz  par  Taltī  rahegī
jahāñ  meñ  surḳh-rū  ho  kar  bhī  'sājid'
vo  hāthoñ  ko  yūñhī  maltī  rahegī