kabhī  makāñ  kī  taraf  hai  kabhī  makīñ  kī  taraf
kisī  kā  ruḳh  hai  azal  se  mirī  zamīñ  kī  taraf
charāġh-e-lāla  hai  raushan  na  surḳh  rū-e-hinā
fazā-e-sehn-e-gulistāñ  hai  yāsmīñ  kī  taraf
mire  badan  ne  bhī  is  faisle  pe  saad  kiyā
ki  dāġh-e-sajda  rahegā  faqat  jabīñ  kī  taraf
tuyūr-e-ḳhvāb  hoñ  ā.īne  hoñ  sitāre  hoñ
ravāñ-davāñ  haiñ  sabhī  arsh-e-nīlamīñ  kī  taraf
huā  hai  koī  agar  faisla  mire  haq  meñ
kabhī  maiñ  haañ  kī  taraf  thā  kabhī  nahīñ  kī  taraf
badal  na  pā.ūñgā  maiñ  āsmāñ  badalne  se
mirā  jhukāv  rahegā  usī  hasīñ  kī  taraf
dayār-e-dil  kā  añdherā  agar  chhaTā  'sājid'
to  dhyān  jā.egā  us  sham-e-avvalīñ  kī  taraf