zamīñ  raushan  rahegī  āsmāñ  raushan  rahegā
mirī  maujūdgī  se  ye  makāñ  raushan  rahegā
mayassar  aa  ga.ī  āsūdgī  jab  is  nagar  ko
chhatoñ  par  rañg  sehnoñ  meñ  dhuāñ  raushan  rahegā
khulegī  ek  din  sab  par  haqīqat  aa.ine  kī
tilism-e-ḳhvāb  se  saarā  jahāñ  raushan  rahegā
use  mahfūz  rakhne  kī  nikālūñ  koī  sūrat
ki  mere  ba.ad  ye  manzar  kahāñ  raushan  rahegā
kisī  dil  meñ  utarne  kī  use  taklīf  kyuuñ  deñ
vo  sab  āñkhoñ  meñ  benām-o-nishāñ  raushan  rahegā
mujhe  kyā  ilm  thā  mere  muqaddar  kā  sitāra
jahāñ  tum  paañv  rakkhoge  vahāñ  raushan  rahegā
hamāre  dam  se  hai  tābindagī  is  qāfile  kī
na  ham  hoñge  na  miir  kārvāñ  raushan  rahegā
bujhā  saktā  nahīñ  hai  koī  mere  aa.ine  ko
añdhere  meñ  bhī  ye  āb-e-ravāñ  raushan  rahegā
khilegā  niiñd  ke  sahrā  meñ  jo  bhī  phuul  'sājid'
varā-e-lazzat-e-vahm-o-gumāñ  raushan  rahegā