zamīn  merī  rahegī  na  aa.ina  merā
ki  āzmāne  chalā  hai  mujhe  ḳhudā  merā
mire  tilism  se  āzād  bhī  nahīñ  lekin
vo  phuul  pahlī  nazar  meñ  huā  na  thā  merā
na.iim  basra-o-baġhdād  hārne  ke  ba.ad
mirā  vajūd  bhī  shāyad  nahīñ  rahā  merā
vo  mere  paas  rahe  yā  kahīñ  chalā  jaa.e
rahegā  us  ke  ḳhayāloñ  se  silsila  merā
kisī  kī  khoj  meñ  niklā  thā  be-irāda  maiñ
badan  niDhāl  thā  sar  ghūmtā  huā  merā
nahīñ  hai  ab  mujhe  anjām  kī  koī  parvā
baḌhā  diyā  hai  mohabbat  ne  hausla  merā
huā  hai  qat.a  masāfat  kā  silsila  jaarī
maiñ  ruk  gayā  to  badan  TūTne  lagā  merā
yaqīñ  nahīñ  hai  magar  naqsh  hai  mire  dil  par
ki  ik  parī  ne  banāyā  hai  zā.icha  merā
vo  baar  baar  palaTtā  hai  duur  jā-jā  kar
so  TuuT  TuuT  ke  juḌtā  hai  rābta  merā
nazar  kī  had  pe  jo  ik  najm-e-ḳhvāb  hai  'sājid'
vahī  charāġh  hai  us  kā  vahī  diyā  merā