ḳhudā-e-bartar  ne  āsmāñ  ko  zamīn  par  mehrbāñ  kiyā  hai
magar  mire  ḳhvāb  ke  nagar  ko  charāġh  ne  ḳhush-gumāñ  kiyā  hai
suno  ki  maiñ  ne  dharī  hai  sat.h-e-ravāñ  pe  ik  Doltī  imārat
aur  ek  sham-e-tarab  ko  shahr-e-malāl  kā  pāsbāñ  kiyā  hai
mujhe  yaqīñ  hai  ye  sub.h-e-nau  bhī  mire  sitāre  kā  saath  degī
ki  maiñ  ne  ik  ism  kī  madad  se  ġhubār  ko  āsmāñ  kiyā  hai
ye  sach  hai  merī  sadā  ne  raushan  kiye  haiñ  mehrāb  par  sitāre
magar  mirī  be-qarār  āñkhoñ  ne  aa.ine  kā  ziyāñ  kiyā  hai
nigāh-e-nam-nāk  ko  lahū  ne  kiyā  hai  majbūr  dekhne  par
aur  ek  rabt-e-ḳhafī  ko  rasm-e-muġhāirat  ne  javāñ  kiyā  hai
kahīñ  nahīñ  hai  masāfat-e-umr  meñ  kisī  ḳhvāb  kā  paḌāv
so  maiñ  ne  is  be-kanār  sahrā  pe  abr  kā  sā.ebāñ  kiyā  hai
sitār-e-ḳhvāb  se  bhī  baḌh  kar  ye  kaun  be-mehr  hai  ki  jis  ne
charāġh  aur  aa.ine  ko  apne  vajūd  kā  rāz-dāñ  kiyā  hai