rahī  hai  yuuñ  hī  nadāmat  mujhe  muqaddar  se
guzar  rahī  hai  sabā  jis  tarah  mire  ghar  se
chaḌhā  hai  shauq  mujhe  zabt  āzmāne  kā
likhūñ  fasāna  koī  aa.ine  pe  patthar  se
musāfiroñ  sā  kabhī  jab  maiñ  shahr  se  guzrā
to  rāstoñ  meñ  ka.ī  rāste  the  banjar  se
tumhāre  ġham  ne  Duboyā  hai  par  pukāro  to
maiñ  lauT  aa.uuñ  usī  pal  kisī  samundar  se
maze  kī  ThanD  ġharīboñ  kī  āstīn  meñ  hai
tum  aa  ke  dekh  lo  fōt-pāth  par  bhī  bistar  se