tire  ġhurūr  mire  zabt  kā  savāl  rahā
bikhar  bikhar  ke  tujhe  chāhnā  kamāl  rahā
vahīñ  pe  Dūbnā  ārām  se  huā  mumkin
jahāñ  pe  mauj-o-safīne  meñ  e'tidāl  rahā
nahīñ  ki  shaam  Dhale  tum  na  lauTte  lekin
tumhārī  raah  meñ  sūraj  hī  lā-zavāl  rahā
phir  apnā  haath  kaleje  pe  rakh  liyā  ham  ne
phir  us  ke  paañv  kī  aahaT  kā  ehtimāl  rahā