jis  bhī  jagah  dekhī  us  ne  apnī  tasvīr  haTā  lī  thī
mere  dil  kī  dīvāroñ  par  dīmak  lagne  vaalī  thī
ek  parinda  uḌne  kī  koshish  meñ  gir  gir  jaatā  thā
ghar  jaanā  thā  us  ko  par  vo  raat  bahut  hī  kaalī  thī
āñgan  meñ  jo  diip  qatāroñ  meñ  rakkhe  the  dhuāñ  hue
havā  chalī  us  raat  bahut  jab  mere  ghar  dīvālī  thī
ik  muddat  par  ghar  lauTā  thā  paas  jab  us  ke  baiThā  maiñ
mujh  meñ  bhī  maujūd  nahīñ  thī  vo  ḳhud  meñ  bhī  ḳhālī  thī
'arsh'  bahāroñ  meñ  bhī  aayā  ek  nazāra  patjhaḌ  kā
sabz  shajar  ke  sabz  tane  par  ik  sūkhī  sī  Daalī  thī