dar  pe  tere  jo  sar  jhukā  lūñgā
is  jahāñ  meñ  sukūn  pā  lūñgā
chāhe  kirdār  tum  nayā  lenā
maiñ  to  mele  se  aa.inā  lūñgā
phir  na  dastak  se  niiñd  TūTegī
aaj  darvāza  toḌ  Dālūñgā
kuchh  bhī  māñge  koī  duāoñ  meñ
maiñ  musāfir  huuñ  rāstā  lūñgā
aag  to  aag  hai  jalā.egī
ashk  bhī  ashk  hai  bujhā  lūñgā
apnī  gahrā.ī  meñ  mukammal  huuñ
terī  ūñchā.iyoñ  se  kyā  lūñgā
ruuh  aur  bhī  mirī  chamak  jaa.e
tere  zaḳhmoñ  ko  aise  pā  lūñgā
sach  to  ye  hai  ki  sach  nahīñ  kuchh  bhī
sirf  afsāne  kā  mazā  lūñgā
tum  jo  pā  jaao  rāh-e-ishq  'vijay'
rafta-rafta  tumheñ  maiñ  pā  lūñgā