nam  āñkhoñ  meñ  kyā  kar  legā  ġhussa  dekheñge
os  ke  uupar  chiñgārī  kā  lahja  dekheñge
shīshe  ke  bāzār  se  le  ā.eñge  kuchh  chehre
vahī  pahan  kar  ham  ghar  kā  bhī  shīsha  dekheñge
kitnī  duur  talak  jā.egī  zabt  kī  ye  kashtī
kitnā  gahrā  hai  is  dard  kā  dariyā  dekheñge
dariyā  ke  pīchhe  pīchhe  ham  sahrā  tak  aa.e
kis  manzil  ko  le  jaa.e  ab  sahrā  dekheñge
rūThne  vaalī  ḳhat  paḌh  kar  fauran  hī  lauT  aa.iiñ
ham  ne  likhā  thā  sale  lagī  hai  kapḌā  dekheñge
kuchh  din  meñ  dil  kā  kho  jaanā  bilkul  mumkin  hai
kahtā  hai  ham  baḌe  hue  ab  duniyā  dekheñge