biite  vaqt  kā  chehra  DhūñDhtā  rahtā  hai
dil  pāgal  hai  kyā  kyā  DhūñDhtā  rahtā  hai
ḳhāmoshī  bhī  ek  sadā  hī  hai  jis  ko
sunñe  vaalā  goyā  DhūñDhtā  rahtā  hai
shabnam  shabnam  pighlī  pighlī  yādeñ  haiñ
merā  ġham  to  sahrā  DhūñDhtā  rahtā  hai
us  ne  apnī  manzil  hāsil  kar  lī  hai
phir  kyuuñ  ghar  kā  rasta  DhūñDhtā  rahtā  hai
dil  sab  se  miltā  hai  halke  lahje  meñ
sab  meñ  kuchh  kuchh  tujh  sā  DhūñDhtā  rahtā  hai
bech  diyā  gul-dān  virāsat  kā  us  ne
bhaa.ī  mirā  ab  gamlā  DhūñDhtā  rahtā  hai
jeb  meñ  dil  thaile  meñ  patthar  le  kar  'arsh'
shahr  koī  dīvāna  DhūñDhtā  rahtā  hai