Syed Bashir Husain Bashir

mujhko daulat mili tere gham ki

Syed Bashir Husain Bashir

mujh ko daulat milī tire ġham kī
kyā haqīqat hai ab do-ālam kī
maiñ ne gardan jahāñ jahāñ ḳham kī
ik tajallī hai nūr-e-paiham kī
husn zīnat hai ahd-e-mub.ham kī
ishq hurmat hai naqsh-e-mohkam kī
naala pahuñchā ba-hadd-e-ḳhāmoshī
intihā hai junūñ ke aalam kī
kyuuñ na vāqif hoñ rāz-e-hastī se
mujh ko hāsil hai ma.arifat ġham kī
jo thā maz.har vahī banā parda
rāz-dārī ye tere mahram kī
tūr-e-dil par hai nuur kī bārish
kitnī azmat hai chashm-e-pur-nam kī
un ke partav kā nuur haiñ donoñ
ek hastī hai mahr o shabnam kī
sab ko hairat hai do-jahāñ māñgā
mujh ko hasrat ki aarzū kam kī
kar rahā huuñ duā ki dard baḌhe
fikr kartā huuñ roz marham kī
dil ḳhudā se lagā 'bashīr' ab tū
paa.ī barkat hai ism-e-āzam kī
Top Urdushayar.com