dil  o  nigāh  meñ  ik  raushnī  sī  lagtī  hai
tumhārī  yaad  se  vābastagī  sī  lagtī  hai
ye  kyā  sitam  hai  mahaktī  huī  bahāroñ  meñ
har  ek  chehre  pe  pazhmurdagī  sī  lagtī  hai
ye  kis  ke  haath  meñ  aayā  hai  daur-e-paimāna
laboñ  pe  apne  baḌī  tishnagī  sī  lagtī  hai
ham  apne  ghar  meñ  bhī  haiñ  ab  musāfiroñ  kī  tarah
har  ek  chiiz  yahāñ  ajnabī  sī  lagtī  hai
har  ek  saañs  pe  pahra  hai  nā-ḳhudāoñ  kā
ye  zindagī  bhī  koī  zindagī  sī  lagtī  hai
hazār  shauq  numāyāñ  the  jis  nazar  se  kabhī
vahī  nigāh  baḌī  ajnabī  sī  lagtī  hai
'hayāt'  kaun  sī  ab  raah  iḳhtiyār  kareñ
har  ek  raah  baḌī  ajnabī  sī  lagtī  hai