ḳhālī  sharāb-e-ishq  se  sāġhar  kabhī  na  the
aise  to  ḳhushk  dal  ke  samundar  kabhī  na  the
jo  sañg-e-ehtisāb  yagānoñ  ke  paas  haiñ
dushman  ke  haath  meñ  bhī  vo  patthar  kabhī  na  the
kis  samt  jā  rahe  haiñ  unheñ  ḳhud  patā  nahīñ
yuuñ  be-ḳhabar  to  raah  se  rahbar  kabhī  na  the
dil  TukḌe  TukḌe  ho  gayā  zaḳhmī  hai  ruuh  bhī
itne  to  tez  vaqt  ke  nashtar  kabhī  na  the
miltā  nahīñ  kahīñ  bhī  dar-o-bām  kā  nishāñ
ham  ghar  meñ  rah  ke  itne  to  be-ghar  kabhī  na  the
kyā  jāneñ  kyā  huiiñ  vo  hasīñ  shoḳhiyāñ  'hayāt'
aise  niDhāl  phuul  se  paikar  kabhī  na  the