ghar  se  jo  shaḳhs  bhī  nikle  vo  sambhal  kar  nikle
jaane  kis  moḌ  pe  kis  haath  meñ  ḳhanjar  nikle
mo.ajaza  ban  ga.ī  kyā  aaj  mirī  tishna-labī
ek  qatre  ke  tale  kitne  samundar  nikle
gir  gayā  ho  jo  fasīloñ  ko  uThā  kar  ḳhud  hī
kaise  ab  apne  hisāroñ  se  vo  bāhar  nikle
rahbaro  tum  ne  to  manzil  kā  patā  bhī  na  diyā
tum  se  behtar  to  mirī  raah  ke  patthar  nikle
umr  bhar  zehn  meñ  chubhtā  rahā  ik  nashtar-e-ġham
jitne  ehsās  the  sab  merā  muqaddar  nikle
tum  se  chhoḌī  na  ga.ī  rāh-e-vafā  phir  bhī  'hayāt'
kitne  be-dard  mile  kitne  sitamgar  nikle