Masooda Hayat

fasl-e-gul kuchh bhi nahin baad-e-saba kuchh bhi nahin

Masooda Hayat

fasl-e-gul kuchh bhī nahīñ bād-e-sabā kuchh bhī nahīñ

terī mahfil ho to jannat fazā kuchh bhī nahīñ

jān-o-dil kar diye ham ne tirī rāhoñ meñ nisār

aur hamāre liye tohmat ke sivā kuchh bhī nahīñ

pakḌe jā.eñge hamīñ hashr meñ be-jurm-o-qusūr

aur gunāhgār ko duniyā meñ sazā kuchh bhī nahīñ

un ke dil par mirā ehsās-e-sitam bhī hai garāñ

ġhair sho.ala-bayānī gilā kuchh bhī nahīñ

jām-e-jam ho kahīñ gardish meñ magar phir bhī 'hayāt'

chashm-e-sāqī se na chhilke to mazā kuchh bhī nahīñ

Top Urdushayar.com