Taleef Haidar

nazargi-e-shauq ne didar mein khincha

Taleef Haidar

Vasai, Maharashtra, India

1987

nazzārgi-e-shauq ne dīdār meñ khīñchā

phir maiñ ne use apne havas-zār meñ khīñchā

khultī nazar aatī hai qabā-e-gul-e-maqsad

ehsās-e-talab ne jo use ḳhaar meñ khīñchā

hai dīdanī gul-kāri-e-ehsās-o-taḳhayyul

kyā āriz-e-gul ko lab-e-iz.hār meñ khīñchā

tasvīr ik ban ga.ī kyā jāniye kis

qatroñ ne nam apnā mirī dīvār meñ khīñchā

tā-hadd-e-nazar khultī ga.ī zulf-e-do-ālam

ehsās ye kis dil-e-bedār meñ khīñchā

Top Urdushayar.com