Ehsas Muradabadi

koi tufan to nahin koi talatum to nahin

Ehsas Muradabadi

koī tūfāñ to nahīñ koī talātum to nahīñ

zindagī naam hai jis vo kahīñ tum to nahīñ

aur kyā kahiyegā ā.īna-e-hairat ke sivā

un mahfil meñ mujhe izn-e-takallum to nahīñ

jis taraf dekhiye ik nūr-e-tajallī paidā

aap bazm meñ shāmil mah-o-anjum to nahīñ

aur kyā dil tabāhī pe tavajjoh detā

aap dekheñ mire hoñToñ pe tabassum to nahīñ

aa.ina dekh ke ab pyaar aa jaatā hai

merī sūrat se numāyāñ ye kahīñ tum to nahīñ

mausam-e-lāla-o-gul ahd-e-bahār-e-gulshan

ye kahīñ aap andāz-e-tabassum to nahīñ

manzileñ apnī jagah par haiñ talab apnī jagah

pahuñchegā ki 'ehsās' abhī gum to nahīñ

Top Urdushayar.com