tū  hī  batā  de  jamāl-e-ma.anī  tirā  kareñ  intizār  kab  tak
hayāt  kā  e'tibār  ho  bhī  nigāh  kā  e'tibār  kab  tak
jahān-e-zulm-o-jafā  ke  mālik  koī  na  ho  ashk-bār  kab  tak
jo  dil  hī  majbūr  ho  chukā  ho  to  aañkh  par  iḳhtiyār  kab  tak
mileñge  dāman  se  aa  ke  āḳhir  mire  garebāñ  ke  taar  kab  tak
koī  batā.e  ki  ho  sakegā  mirā  junūñ  puḳhta-kār  kab  tak
jo  kī  kisī  ne  bhī  purshish-e-ġham  to  chashm-e-majbūr  ho  ga.ī  nam
magar  dil-e-zabt-āzmā  ke  bayān  meñ  iḳhtisār  kab  tak
vo  bād-e-sar-sar  kī  be-qarārī  vo  bijliyāñ  aur  vo  sho.ala-bārī
bas  ab  qafas  hī  meñ  mutma.in  huuñ  nazar  ko  shauq-e-bahār  kab  tak
ḳhizāñ  ke  be-kaif  daur  kā  bhī  mire  garebāñ  ye  kuchh  to  haq  hai
junūñ  ko  āḳhir  banā.e  rakkhūñ  niyāz-mand-e-bahār  kab  tak
qadam  qadam  par  sanam-kada  hai  nazar  nazar  meñ  haram  kā  manzar
tajalliyāñ  hī  to  haiñ  ye  āḳhir  ba-qaid-e-dīdār-e-yār  kab  tak