Ghamgeen Dehlvi

us shoala-ru se jab se meri aankh ja lagi

Ghamgeen Dehlvi

1753-1851
us sho.ala-rū se jab se mirī aañkh jā lagī
kyā jaane tab se siine meñ kyā aag aa lagī
ka.abe meñ vo zuhūr hai jo but-kade meñ hai
ai shaiḳh munsifī se tū kahiyo ḳhudā-lagī
pā tak bhī dastaras na ho mujh ko ye rashk hai
aur tere haath meñ rahe qātil hinā lagī
dushnām tum ne mujh ko jo dī to maiñ ḳhush huā
aur maiñ ne dī duā to tujhe bad-duā lagī
vo ġhuncha-lab jo ḳhanda-zanāñ hai chaman meñ aaj
shāyad guloñ ke khilne kī us ko havā lagī
ḳhvābīda baḳht ne vahīñ bedār kar diyā
tere ḳhayāl meñ jo ye aañkh ik zarā lagī
'ġhamgīñ' jo ek aan pe tere adā huā
kyā ḳhush adā use tirī ai ḳhush-adā lagī
Top Urdushayar.com